Friday 11 May 2012

Chahata hoon main tujhe aaj bhi par

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
Iska matlab ye nahi k main tujse pyar nahi karta

Chahata hoon main tujhe aaj bhi par
Pata nahi kyun tuj se pyaar ka ijhar nahi karta

Tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
Isi liye apne dard ki numaish nahi karta

Jo kuch mila hai usi me khush hoon main
Tere liye khuda se zyda taqraar nahi karta

Mere dil ko pata hai ki dard nhi miltne wala ab kabhi
phir b sab kuch seh kar bhi apni ankhe bhigaya nhi karta

Muje pata hai meri rah ki manzil ab kisi aur k naam hai
Phir bhi apni rah se juda hone ki Khwaish nhi karta

Musaam toh badalta rehta hai par tum ko kya huwa???
Ek baar apni wafaye kisi k naam kar apni wafa se bewafae nhi karta

Tumne jo Yaade di hai woh ab dard diti hai dil ko mere
Apne dil ko jalne k baad ashq se apne dard ko bujaya nhi karta

Par kuch toh baat hai teri fitrat me O Zalim
Warna Main tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

No comments:

Post a Comment