Main apne daman mein chupa loon tujh ko.
Dil karta hai apna bana loon tujh ko.
Mar k bhi na toote ye rishta humara.
Is tarha se apni Rooh mein sama loon tujh ko.
Apni baahon mein is tarah sey le loon.
K phir na baahon se nikalon tujh ko.
Tere pyar ne mujhe har cheez se ghafil kar diya.
Ab dil karta hai tujh se chura lon tujh ko.
Tere beghair ab G nahi sakte
Mere Paas Baitho ye samjha don tujh ko....!!
No comments:
Post a Comment