Saturday, 18 February 2012

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen


Gulaab Aankhen Sharab Ankhen
Yehi To Hein La-jawab Aankhen

Inhi Me Ulfat Inhi Me Nafrat

Sawab Aankhen Azab Aankhen

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi
Kbhi Sarapa Hijab Aankhen

Kbhi Chhupaati Hain Raaz Dil K
Kbhi Hain Dil Ki Kitab Aankhen

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi
Kisi Ny Paeen Saraab Aankhen

Wo Aaye To Log Mujh Se Bolay
Hazoor Aankhen Janab Aankhen

Ajab Tha Guftagu Ka Aalam
Sawal Koi Jawab Aankhen

Yeh Mast Mast be-Misaal Ankhen
Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenain
Giren To Kr Dain kamal Ankhen

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shoq-e-Wisaal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain
Karen To Kuch Yeh Khayal Ankhen

Hain Jeeny Ka Ik Bahana Yaro
Yeh Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraaz Palken Wisal Ankhen
Musawari Ka Kamal Ankhen

Sharab Rab Ne Haram Kr Di
Magar Q Rakhin ye Halal Ankhen

Hazaron In Se Qatal Huey
Khuda K Bandhy Sambhal Ankhen……!

No comments:

Post a Comment