Showing posts with label Ghazal Sms. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Sms. Show all posts

Wednesday, 26 September 2012

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane ha


Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.
... ...
Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

Monday, 18 June 2012

Shaam K Saanwly Chehry Ko Nikhara Jaye


!!Shaam K Saanwly Chehry Ko Nikhara Jaye!!

Kuin Na Saagar Se Koi Chaand Ubhara Jaye,

Raas Aaya Nahi Taskeen Ka Saahil Koi!!

Phir Mujhe Piyas K Darya Me Utara Jaye,

Meharban Teri Nazar,Teri Adaein Qatil!!

Tujhe Kis Naam Se Ae Dost Pukaara Jaye,

Mujh ko Dar Hai Tere Wady Pe Bharosa Kar K!!

Muft Me Ye Dil-e-Khush Fehem Na Maara Jaye

Jis K Dam Se Mere Din Raat Darakhshan The Qateel!

! Kaise Ab Us K Bina Waqt Guzara Jaye…

Mohabat Ka Bharam Hota


Mohabat Ka Bharam Hota
To Phir Kuch Soch Kar Jaaty

Warna Zindagi Ban K
Mery Humdam Guzar Jaaty

Thaky Haary Parindon Ko
Jo Daikha To Khyal Aaya

Koi Jo Muntazir Hota
To Hum Bhi Apny Ghar Jaaty

Main Kha K Dard Ki Thokar
Abhi Tak Hosla’Mand Hoon

Ye Thokar Jo Tumhen Lagti
To Tum Khud Bhi Bikhar Jaaty……!

Friday, 25 May 2012

Kabhi To Ho Ga Yeh Mojza Bhi

, Kabhi To Ho Ga Yeh Mojza Bhi,,*

*,,, Wo Meri Khatir Tamam Bandhan,,*

*,,, Tamam Rishton Ko Torr Day Ga,,*

*,,, Wo Saray Apno Ko Chor Day Ga,,*

*,,, Wo Phir Se Pakray Ga Hath Mera,,*

*,,, Wo Phir Sahara Banay Ga Mera,,*

*,,, Wo Apni Aankhein,,*

*,,, Youn Meri Palkon Se Jorr De Ga,,*

*,,, K Meri Palkon Pay Apny Aansu Nichor De Ga,,*

*,,, Aisa Shayed Abhi Na Ho Ga,,*

*,,, Ya Aisa Shayed Kbhi Na Ho Ga,,*

*,,, Aisa Shayad Kbhi Na Ho Ga,,*

Friday, 11 May 2012

woh kehta hai mujhy tumse pyar bht hai

woh kehta hai
mujhy tumse pyar bht hai..
main kehti hu,

mujhy teri baatoon pe aitebar bht hai

woh kehta hai
Ley jaunga tujhy sang apne
main kahti hu,
mujhy us pal ka intezar bht hai

woh kehta hai
kabhi socha na tha yun milenge
main kahti hu,
isme meri qismat ka haath bahut hai

woh kehta hai,
ki duniya bhar ki khusiyan laa ke doonga tujhe
main kehti hu,
ki mere liye tu tumhara sath hi bahot hai..

Chahata hoon main tujhe aaj bhi par

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
Iska matlab ye nahi k main tujse pyar nahi karta

Chahata hoon main tujhe aaj bhi par
Pata nahi kyun tuj se pyaar ka ijhar nahi karta

Tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
Isi liye apne dard ki numaish nahi karta

Jo kuch mila hai usi me khush hoon main
Tere liye khuda se zyda taqraar nahi karta

Mere dil ko pata hai ki dard nhi miltne wala ab kabhi
phir b sab kuch seh kar bhi apni ankhe bhigaya nhi karta

Muje pata hai meri rah ki manzil ab kisi aur k naam hai
Phir bhi apni rah se juda hone ki Khwaish nhi karta

Musaam toh badalta rehta hai par tum ko kya huwa???
Ek baar apni wafaye kisi k naam kar apni wafa se bewafae nhi karta

Tumne jo Yaade di hai woh ab dard diti hai dil ko mere
Apne dil ko jalne k baad ashq se apne dard ko bujaya nhi karta

Par kuch toh baat hai teri fitrat me O Zalim
Warna Main tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

besabab chor dia tum ne koi ilzaam dia hota

besabab chor dia tum ne koi ilzaam dia hota

meri khamosh muhabat ko koi naam dia hota

me marr q na gya teri narazgi se pehle

mujhe chorna tha to koi laqab-e-badnam dia hota

me umar bhr k lye nhi kehta k mera sath dedo

bas jine ko koi dilasa kisi shaam dia hota

tumhe paney ki talab me kitna roya dil-e-muntazir

raat bhar jagne ki ibadat ka koi inaam dia hota

agar hum na they teri wafa k qabil

hum marr he jatey agr zehar ka jaam dia hota

Tum Gaye Tu Shehar Bhi Sunsaan

Tum Gaye Tu Shehar Bhi Sunsaan Sa Lagney Laga
Milney Wala Her Koi Anjaan Sa Lagney Laga

Nachney Lagta Tha Aksar Tuj Say Mil Kar Jo Kabhi
Dil Wohi Seeney Mein Ab Bey Jaan Sa Lagney Laga

Beh Na Jao Phir Kaheen Ashkoo K Is Selaab Mein
Aaj Palkoo Mein Chupa Tufaan Sa Lagney Laga

Kar Liya Jab Bey-Hodi Say Ek Rishta Istiwaar
Zindagi Ka Yeh Safar Aasaan Sa Lagney Laga

Zulm Sehtey Sehtey Apney Dil Ki Yeh Halaat Hui
Ghar K Koney Mein Para Samaan Sa Lagney Laga

Dekh Kar Tanha Mujhey"Almaas"Phir Muddat K Baad
K Koi Mehfil Mein Kuch Hairaan Sa Lagney Laga

Thursday, 5 April 2012

khat aik aur likh rakhon

Kasid ke ate ate khat aik aur likh rakhon
ma janta ho wo jo likhen ge jawb mai
kab se hon kiya btaon jahn-e-karb me
shab aye, hijar ko he rakhon gar hisab me
muj tak kab un ke bazam me ata tha door jo
saki ne kuch mila na deya ho sharab me
kafer na intazar me neend aye umer bar
ane ka ahad kar gy, aye jo khab me
Galib chute sharab magar ab be kabi kabi
peta ho roz-e-abre shab-e-mahtab mai.

Saturday, 10 March 2012

Wo Larki Shayd 'Pagal' Thi,


Wo Larki Shayd
 'Pagal' Thi,

 Din Raat Hi Gum Sum Rehti Thi,

 .........Kuch
 Sharm-O-Haya Ka Pekar Thi,

 Kuch Narm Mizaji Rkhti Thi,

 Aankho Me Neem Nasha Sa Tha,

 Baton Se Dewani Lgti Thi,

 Hmraz Na Tha
 Us Ka Koi,

 Bs Khud Se Baten
 Krti Thi,

 1Sharm K Anchl Me Aksr,

 Jazbat Chupay
 Rkhti Thi,

 Darti Thi Juda Ho Jane Se,

 Ya Pyar Sy Shayd Drti Thi,

 Kya Sabr Tha
 Us Dewani Ka,

 Kya
 Zabt-E-Mohabt Rkhti Thi,

 Hy Rashk Mujhe Us 'Pagli' Pe,

 Kya Khob Mohabt Krti Thi..!!!!

"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"


"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"

wo pagli phir se

beetay mosam ko,
yad krti he

poraNe cards parhti hai,

k jis maiN oss Ne likha tha,
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN

Naye kaprey baNati hai,


wo sara ghar sajati hai,

DECEMBER k har aik diN ko,
wo giN giN ker bitati he.

jooN hi 15 gozarti hai,


wo kch kch toot jati hy,


magar phir b,

poraNi albums ko khol ker,
maazi ko bolati he.

Nahi maloom ye oss ko,

K beete waqt ki khoshiyaaN,
bohot takleef deti haiN!
mehiz dil ko jalati haiN.

yooN hi diN beet jate haiN!

DECEMBER lot jata he.

magr wo khosh feham larki,

dobara se caleNdar maiN,
DECEMBER k mahiNe k safey ko
mor ker

phir se

DECEMBER k sehar maiN dob jati he!

k akhir os Ne likha tha,


"MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN"...

Monday, 5 March 2012

Wo kehti hai, kia ab bhi


Wo kehti hai, kia ab bhi kisi k liye laal,hari chooriyan khareedtay ho

Main kehta hon, ab kisi ki kalaai pe ye rang acha nahi lagta

Wo kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho

Main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai

Wo kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai

Main kehta hon, mohabbat sirf "larki" per mushtamil nahi hoti

Wo kehti hai k jana! lehjay main bohat udaasi hai

Main kehta hon k titliyon ne bhi mere dukh ko mehsoos kiya hai

Wo kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho

Main kehta hon k mere nisaab main yeh lafz shamil hi nahi

Wo kehti hai k kabhi mere zikar per ro bhi laite ho ge

Main kehta hon k meri ankhon ko har waqt ki phuwar achi lagti hai

Wo kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai

Main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh ezaaz mila hay...

Friday, 24 February 2012

Main apne daman mein chupa loon tujh ko

Main apne daman mein chupa loon tujh ko.

Dil karta hai apna bana loon tujh ko.

Mar k bhi na toote ye rishta humara.

Is tarha se apni Rooh mein sama loon tujh ko.

Apni baahon mein is tarah sey le loon.

K phir na baahon se nikalon tujh ko.

Tere pyar ne mujhe har cheez se ghafil kar diya.

Ab dil karta hai tujh se chura lon tujh ko.

Tere beghair ab G nahi sakte

Mere Paas Baitho ye samjha don tujh ko....!!

Saturday, 18 February 2012

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen


Gulaab Aankhen Sharab Ankhen
Yehi To Hein La-jawab Aankhen

Inhi Me Ulfat Inhi Me Nafrat

Sawab Aankhen Azab Aankhen

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi
Kbhi Sarapa Hijab Aankhen

Kbhi Chhupaati Hain Raaz Dil K
Kbhi Hain Dil Ki Kitab Aankhen

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi
Kisi Ny Paeen Saraab Aankhen

Wo Aaye To Log Mujh Se Bolay
Hazoor Aankhen Janab Aankhen

Ajab Tha Guftagu Ka Aalam
Sawal Koi Jawab Aankhen

Yeh Mast Mast be-Misaal Ankhen
Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenain
Giren To Kr Dain kamal Ankhen

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shoq-e-Wisaal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain
Karen To Kuch Yeh Khayal Ankhen

Hain Jeeny Ka Ik Bahana Yaro
Yeh Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraaz Palken Wisal Ankhen
Musawari Ka Kamal Ankhen

Sharab Rab Ne Haram Kr Di
Magar Q Rakhin ye Halal Ankhen

Hazaron In Se Qatal Huey
Khuda K Bandhy Sambhal Ankhen……!

Chup chup Rehna seekh liya hai


Chup chup Rehna seekh liya hai ,

har dukh sehna seekh liya hai ,

Ashkon ki Moujon ne dil k
andar behna seekh liya hai,

pathar jaise logon ko bhi
acha kehna seekh liya hai,

jeevan ki tapti Raahon per,
Tanha chalna seekh liya hai,

apna dard chupa kr sab se,
tanha Rona seekh liya hai.

Tera LIKHA Howa KAGHAZ


>KAGHAZ<

>Tera Tohfa,

Teri Chahat,

Tera LIKHA Howa KAGHAZ,

>Meri To Zindagi Hai Ye Tera BHEJA Howa KAGHAZ,

>Kisi Ka Yaad Aana Yon Kisi Ka Bhol Jana Wo

Kahin Phela Howa Kajal Kahin JALTA Howa KAGHAZ,

>Bara Dushwar Hota Hai Saman Tark-E-Tallok Ka

Kahin Alfaz Tere Hain, Kahin BHEEGA Howa KAGHAZ,

>Main Dekhon Jab Isse Qurbat Teri Mehsos Hoti Hai

Tera Bheja Howa KAGHAZ Tera CHOOUA Howa KAGHAZ.

Thursday, 8 December 2011

Youn Chup Se Na Raha karo,


” SUNO ”
Youn Chup Se Na Raha karo,

Youn Khamosh Se Jo Ho Jatey Ho,

Dil Ko Weham Sa Ho Jata Hai,

Kahein Khafa To Nahi Ho,

Kahein Udas To
Nahi Ho,

Tum Bolty Aachy Lagty Ho,

Tum Larty Aachy Lagty Ho,

Kabhi Shararat Se,
Kabhi Gussey Se,

Tum Haansty Aachy Lagty Ho
Koe shkwa ho koe shkyat ho hm sa kaha kro
Par u chup sa na raha kro’.

Ghazal Likh Kar Main Dil Ki Baat Keh Deyti Hoon


    Ghazal Likh Kar Main Dil Ki Baat Keh Deyti Hoon
    Kaise Guzari Hai Meri Raat Keh Deyti Hoon

    Palkhein Becha Kar Jis Ka  Tha Intezaar Bohaat
    Wo Na Samjhe Mere Jazabat Keh Deyti Hoon

    Aaj Phir Jhoot Mujh Se Jeet Gaya
    Aaj Phir Hoyi Saach Ki Maat Keh Deyti Hoon

    Main Chahti Rahi Thi Jisko Deewanoon Ki Tarhan
    Ussney Bikheri Meri Zaat Keh Deyti Hoon

    Na Karein Ge Abb Bharoosa Kisi Rishtey Per Hum
    Yahi Saach Baaqi Jhooti Baat Keh Deyti Hoon

    Main To Hansti Rahi Thi Duniya Ko Deekhaney Ke Liye
    Meri Ankhoon Mein Thi Barsaath Keh Deyti Hoon

Titliyaan, Konplain, Rung-o-Boo Or Tu


Titliyaan, Konplain, Rung-o-Boo Or Tu,
Chaandni, Shaaeri Or Saboo Or Tu..


Daaman-e-koh k Manzar-e-khaab Mein,

Roshni ho Meray Chaarsoo Or Tu..

...

Sandli Sandli khaamshi Or Mein,

Makhmali Makhmali Guftgoo Or Tu..


Es Taraf Ishq ki Tashnagi Or Mein,

Us Taraf Husn ki Aab-e-Joo Or Tu..


Jis Taraf Dekhay aur kuch Bhi Nhin,

Sirf Main Or
Main, Sirf Tu Or Tu..

Sunday, 20 November 2011

Sadyon Se Ik Sapna Hai

Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karogay Tum,
Bhool Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gay Tum,
Nahi Kuh Aur Tamana Ab,
K Bas Mere Ho Jao Tum,
Kabhi na Chor K Jao Gay,
Kaho Aisa Karo Gay Tum,
Faqt Ik Lafz Sun'ne Ko,
Kahin Barso Tarsa Hun,
Mujhe Apna Bana Lo Tum,
Kaho Aisa Karo Gay Tum....!!!